
Gupta Ji Boss of the bosses in deshbhakti
[Verse] Kya kaha Kashmir de doon Hind ki jaagir de doon Yeh kabhi mumkin na hoga Mulk ki taqdeer de doon Kya himani cool de doon Jafrani phool de doon Gandh keshar ki nashili Bootiyan akseer de doon Khud-ba-khud kudrat jahan Aakar lutati hai hunar Hind ke dilkash chaman ka Khoobsurat heer de doon Kya kaha Kashmir de doon Bheem Arjun se hazaron Veer raksha ko khade O dushasan haath mein kyun Draupadi ka cheer de doon Kya kaha Kashmir de doon Yeh kabhi mumkin na hoga Mulk ki taqdeer de doon Jai Hind

