Ah ko chahiye ik umr, asar hone tak Kaun jeeta hai teri zulf ke sar hone tak Daam har mouj mein hai halqa-e-sad kaam-e-nahang Dekhein kya guzre hai qatre pe guhar hone tak Aashiqi sabr talab aur tamanna betaab Dil ka kya rang karoon khoon-e-jigar hone tak Ham ne maana ke taghaful na karoge lekin Khaak ho jaayenge ham tumko khabar hone tak Par-tou-e-khur se hai shabnam ko fana ki taleem Main bhi hoon ek inayat ki nazar hone tak Yak nazar besh nahi fursat-e-hasti ghaafil Garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak Gham-e-hasti ka Asad kis se ho juz-margh ilaaj Shama har rang mein jalti hai seher hone tak