
Dhak dhak, dhak dhak... Mere seenay mein jaisay kuch ho raha hai Woh, woh, woh meri aankhon ke saamnay hai Phir bhi buhat door mehsoos hota hai Itna door jahan tak nazar jaye... Aray tum! Kis ne socha tha ke mein tum par dil haar doon gi Samajh nahi aati ke yeh dil ki kya khwahish hai Dhadkan taiz ho jaati hai... jab mein tumhein dekhti hoon Tum aur mein shayad kabhi ek na ho sakein Lekin meri khwahish hai ke tum se miloon... Sirf is liye ke tumhein jaan sakoon... Mujhe ijazat do... Aray tum... Kis ne socha tha ke mein tum par dil haar doon gi Samajh nahi aati ke yeh dil ki kya khwahish hai Khamoshi se, mein yeh sab chhupaye huay hoon... Tumhein janne ki zaroorat nahi... yeh mera raaz hai Khamoshi se, mein yeh sab chhupaye huay hoon... Bas mein ne isay mehfooz kar liya hai... yeh mera raaz hai Dhak dhak, dhak dhak... Mere seenay mein jaisay kuch ho raha hai Woh, woh, woh meri aankhon ke saamnay hai Phir bhi buhat door mehsoos hota hai Itna door jahan tak nazar jaye... Aray tum! Kis ne socha tha ke mein tum par dil haar doon gi Samajh nahi aati ke yeh dil ki kya khwahish hai Dhadkan taiz ho jaati hai... jab mein tumhein dekhti hoon... Mere khayal mahz ek khwaab hain... Agar tumhein pata chal gaya to mujhe sharmindagi hogi... Khamoshi se, mein yeh sab chhupaye huay hoon... Har cheez meri taqdeer hai... Jo kuch bhi ho, ek baat yaqeeni hai... Kuch mohabbatein aisi hain jinhein haasil karna zaroori nahi... Woh bas ek khoobsurat yaad hoti hain.... Aray...... Dhak dhak, dhak dhak... Mere seenay mein jaisay kuch ho raha hai Woh, woh, woh meri aankhon ke saamnay hai Phir bhi buhat door mehsoos hota hai Itna door jahan tak nazar jaye... Zaban bolne se qasir hai Bas aankhein us ki har harkat ka peecha karti hain.... Woh, woh meri aankhon ke saamnay hai... Dhak dhak, dhak dhak... Dup dup, dup dup....

