
Verse 1: Mujhe toh yaad hai Kia tum ko bhi woh raat yaad hai Jab hum milay thay - party mein Kia tum ko bhi woh raat yaad hai Jab aankhein mili theen Saje saji thi Aur dono kay dil mein - Aag lagi thi Verse 2: Ab kia baat hai - Jo rooth gaye tum Lagta hi nahi kay tujhe woh raat yaad hai Jab Khaayee theen qasmain, Allah miyaan ki kay saath rahain gay Kia tum ko woh raat yaad hai Chorus: Ab tum kho gayee ho kahaan Meri ex-Jaan-e-Jaan Tujhe dhoondoon bhi toh kahaan dhoondoon Mein Chhaanoon saara Pakistaan Ab tum kho gayee ho kahaan Meri ex-Jaan-e-Jaan Tujhe dhoondoon bhi toh kahaan dhoondoon Mein Chhaanoon saara Pakistaan Verse 3: Ab mere paas nahi koi Bata kaun tere paas hai Jal raha hai dil mera tere bin bin Kia tum ko bhi koi aas hai Naa tiktok na youtube ki videos mein dil lagay Tere bin meri zindagi - khaali khaali hai - bakwaas hai Chorus: Ab tum kho gayee ho kahaan Meri ex-Jaan-e-Jaan Tujhe dhoondoon bhi toh kahaan dhoondoon Mein Chhaanoon saara Pakistaan Ab tum kho gayee ho kahaan Meri ex-Jaan-e-Jaan Tujhe dhoondoon bhi toh kahaan dhoondoon Mein Chhaanoon saara Pakistaan

