***Verse 1:** Farz karo ham ahl-e-wafaa hoN, farz karo diivaane hoN Farz karo ye donoN baateN jhuuTii hoN afsaane hoN **Chorus:** Farz karo ye jii kii biptaa jii se jod sunaayii ho Farz karo abhii aur ho itnii aadhi ham ne chhupaayii ho **Verse 2:** Farz karo tumheN Khush karne ke DhuuNde ham ne bahaane hoN Farz karo ye nain tumhaare sach-much ke maiKhaane hoN **Chorus:** Farz karo ye rog ho jhuuTaa jhuuTii peet hamaarii ho Farz karo is peet ke rog meN saaNs bhi ham pe bhaari ho **Bridge:** Farz karo ye jog-bijog kaa hamne Dhong rachaayaa ho Farz karo bas yahii haqiiqat baaqii sab kuch maayaa ho