Badbaan Khulne Se Pahly Ka Ishara Dekhna Main Samander Dekhti Hoon Tum Kinaara Dekhna Yoon Bichadna Bhi Bohot Asaan Na Tha Us Se Magar Jatay Jatay Us Kaa Wo Mud K Dubara Dekhna Kis Shabaahat Ko Liye Aya Hai Darwaazay Pe Chaand Ai Shaab-E-Hijraan Zaraa Apna Sitaara Dekhna Aayee nay Ki Aankh He Kuch Kam Naa Thi Mery Liye Jany Ab Kya Kya Dikhaayega Tumhara Dekhna