
Guftugoo
Verse 1: Rago'n mein daudte phirne ke hum nahin qaayil Jab aankh hi se na tapka to phir lahoo kya hai Jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga Kuredte ho ab ju raakh, jostujoo kya hai Chorus: Har ek baat pe kahte ho tum ke tu kya hai Tum hee kaho ke yeh andaaz-e-goftagoo kya hai Chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan Hamari jaib ko ab haajat-e-rafoo kya hai Verse 2: Humne maana ke taghaaful na karoge lekin Khaak ho jayenge hum tumko khabar hone tak Ishq par zor nahin, hai yeh woh aatish Ghalib Jo lagaye na lage aur bujhaye na bane Chorus: Har ek baat pe kahte ho tum ke tu kya hai Tum hee kaho ke yeh andaaz-e-goftagoo kya hai Chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan Hamari jaib ko ab haajat-e-rafoo kya hai

