Hamaari saanson mein aaj tak woh Hina ki khushboo mehek rahi hai Hamaari saanson mein aaj tak woh Hina ki khushboo mehek rahi hai Labo pe naghme machal rahe hain Nazar se masti chalak rahi hai Hamaari saanson mein aaj tak woh Hina ki khushboo mehek rahi hai Woh mere nazdeek aate aate Hayaa se ik din simatt gaye the Mere khayalon mein aaj tak woh Badan ki daali lachak rahi hai Hamaari saanson mein aaj tak woh Hina ki khushboo mehek rahi hai Sadaa jo dil se nikal rahi hai Woh sher-o-naghmo mein dhal rahi hai Ke dil ke aangan mein jaise koi Ghazal ki jhanjar chanak rahi hai Hamaari saanson mein aaj tak woh Hina ki khushboo mehek rahi hai Tadap mere beqaraar dil ki kabhi toh un pe asar kare gi Kabhi toh woh bhi jalain ge iss mein Jo aag dil mein dahek rahi hai Hamaari saanson mein aaj tak woh Hina ki khushboo mehek rahi hai Hamaari saanson mein aaj tak woh Hina ki khushbo mehek rahi hai