
Soona Soona hai jahaan Iss pal mein hum tum yahaan Par darmiyaan Gham kaa samaan Tum ho mere sang magar Dil mein ek anjaani si hai phir bhi fikar In raahon mein agar, hum phir say gum hogaye, Tum ko dhoondta rahoongaa mein saari umar. Chorus: Kyun ho ye faasla, kyun ho yeh dooriyaan Tere bin adhura sa lage yeh jahaan Laut aao, laut aao Dil ke rishte ko phir se jod jao haaaaaaaaaaaaaaaaaan Tanhaayee ki chaadar tale Mein rota reh jaoongaa Kuch naa kar paoon gaa Har gham mein seh jaoon gaa Chorus: Kyun ho ye faasla, kyun ho yeh dooriyaan Tere bin adhura sa lage yeh jahaan Laut aao, laut aao Dil ke rishte ko phir se jod jao haaaaaaaaaaaaaaaaaan Ankhoon mein hai basi woh tasveer teri Woh jo pyaar say likhi thi tehreer teri Mujhko jaagtay huway bhi tere khuwab aatay hain Mein naa torh paaoon gaa yeh zanjeer teri Chorus: Kyun ho ye faasla, kyun ho yeh dooriyaan Tere bin adhura sa lage yeh jahaan Laut aao, laut aao Dil ke rishte ko phir se jod jao haaaaaaaaaaaaaaaaaan Outro: Soona Soona hai jahaan Iss pal mein hum tum yahaan Par darmiyaan Gham kaa samaan

